namaz in islam:r is dunya me koi bhi chiz be faida nahi he har cheez ka koi na koi faida he ye bat alag he ke ham uske faida ko jan pate he ya nahi yahan tak ke sanp ke bhi faida he sanp fiza ke andar se zahrili mawad ko apne andar jazab kar laita he agar wo us zahar ko apne andar na khinche to sans laina mushkil ho jaye .laikin mujhe ap ko ye batana he ke har cheez kuch na kuch kam aati he magar ham insan na hamara gosht kam aata he na haddi ,na chamda,bal,na zinda ke na murda ke phir hame allah ne kiun banaya kia cahhata he ham se akhir koi to maqsad he hamare banane ke piche is sawal ka jawab na hame since ne bata ya na hi kisi docter ne aur na koi bata sakta he balke is ka jawab wahi de sakta he jis ne hame banaya ,aur woh apni book jo ke usi ka kalam he us me kahta he :logo me ne tumhe is lie nahi banaya ke dunya me logo ki kami thi tumhare se apna bahumat badhaonga ,tumhe is liye nahi bana ya ke tumhare se dil bahlaonga tum se koi kam laina he ,balke tumhe is liye banay he take tum mairi khoob ebadat karo khoob mujhe yaad karo ,to pata chala ke hamari paidaish ka maqsad hi pooja aur ibadat he laikin kiun ke ham insan he hamari zarooriat he is liye ye bhi nahi kaha ke tum 24 hours isi me lage raho balke usne kaha ke paise bhi kamao ,bachhe bhi palo shadi bhi karo bussenis bhi karo kaho bhi pio bhi sona bhi he jagna bhi he kaikin sath ibadat bhi karni he aur woh ye he ke 24hours me 5bar masjid me aakar agar masjid me na pahunch sako to apne ghar me hi ya jahan bhi tum ho wahi par pak saf (wuzu)ho kar apne malik ki puja karo us ke samne apna sar jhukao aur us se apne liye khoob dua mango is ka nam namaz he ab us ka tariqa kia he kase aur kia parhna he ye uske nabi mohammd s w ne bataya he jis ki detail islamic book me he .aap ko kuch samjh me na aaya ho to please comment karye ap ke har sawal ka jawab dia jaiga in sha allah.
No comments:
Post a Comment